Sunday, 18 December 2011

SACH KI KADWAHAT KO HUMNE PI LIYA HAI

Jo  gum  k  aasu  humne  bahaye  hai
Unse  ab  hum  door  nikal  aaye   hai
Koshis ki hai khud ko khush rakhne ki
Har khushi aur gum mai muskurane ki
Har mod se ek pal chura ke  laye  hai
Jaise patjhad mai bhi fool khilaye hai
Jo gum  k  aasu  humne  bahaye  hai
Unse  ab  hum  door  nikal  aaye  hai

Sach ki kadwahat ko humne pi liya hai
Ye  kahta  hai  ki  jeena seekh liya hai
Jo pal pal hum ghut ghut ka jeete the
Sach bhula kar khudse jhoot kahte the
Zindgi ne to bas hume ghav hi diya hai
Un  sare  ghav ko humne ab si liya hai
Sach  ki  kadwahat ki humne pi liya hai
Ye kahta hai ki  jeena  seekh  liya  hai

Monday, 28 November 2011

Ye dil nanda hai, na jagta hai na sota hai


Hamre dil ko ek ajeeb sa ehsas hota hai
Jaise koi bhoola bisra aas pas hota hai
Har pal yad unki kuch mahsus karati hai
Ye dil nanda hai, na jagta hai na sota hai

Hamari soch hi nahi hai ki mohbbat kare
Fir kyu adhure pan ka ehsas hota hai
Jab tak sath the hame samajh hi na aya
Ki pyar ka to naam bhi khash hota hai

Har lafj mai hamare, unka hi nam hota hai
khwab mai hamre, unka hi satha hota hai
Dua hai rab se ki sapne sach ho jaye, kyu ki..
Ye dil nanda hai, na jagta hai na sota hai.

Hamre dil ko ek ajeeb sa ehsas hota hai
Jaise koi bhoola bisra aas pas hota hai
Har pal yad unki kuch mahsus karati hai
Ye dil nanda hai, na jagta hai na sota hai

Hamari soch hi nahi hai ki mohbbat kare
Fir kyu adhure pan ka ehsas hota hai
Jab tak sath the hame samajh hi na aya
Ki pyar ka to naam bhi khash hota hai

Har lafj mai hamare, unka hi nam hota hai
khwab mai hamre, unka hi satha hota hai
Dua hai rab se ki sapne sach ho jaye, kyu ki..
Ye dil nanda hai, na jagta hai na sota hai.

Sunday, 13 November 2011

Nayi Chahat K Sath


Nayi chahat k sath hi naye savera hota hai
khili daliyo par chidiyo ka basera hota hai
Khud k dukh se dukhi nahi hai insan yaha
Dusro ki khushi se hi bada bakhera hota hai
Thokar khakar aksar log chalna bhool jate hai
Gir kar chalne wala hi asli vijeta hota hai
Jane kyu pyar ke liye log tadpte hai yaha
Jabki Maa-Baap k pyar ka putera hota hai
Roti nahi aankhe kabhi unhe bhulane mai
Aur mehbub ko bhulane mai unka dil rota hai

Man mai jo apne auro ke liye
Sahanubhuti prgtate  hai
Maa-Baap k pairo ki Khatir
jo apne hath bichate hai
Papo ka un par bojh nahi
Ve swarg gati ko jate hai

Nayi chahat k sath hi naye savera hota hai
khili daliyo par chidiyo ka basera hota hai
Khud k dukh se dukhi nahi hai insan yaha
Dusro ki khushi se hi bada bakhera hota hai
Thokar khakar aksar log chalna bhool jate hai
Gir kar chalne wala hi asli vijeta hota hai
Jane kyu pyar ke liye log tadpte hai yaha
Jabki Maa-Baap k pyar ka putera hota hai
Roti nahi aankhe kabhi unhe bhulane mai
Aur mehbub ko bhulane mai unka dil rota hai

Man mai jo apne auro ke liye
Sahanubhuti prgtate  hai
Maa-Baap k pairo ki Khatir
jo apne hath bichate hai
Papo ka un par bojh nahi
Ve swarg gati ko jate hai

Sunday, 11 September 2011

Kshama Bhav


KSHAMA KA BHAV RAKH MAN MAI
KSHAMA HO JEEV SAB JAG MAI
LE KARUNA SARE JEEVO KI
NA MAN MAI DWESH KINCHIT BHI
YAHI HAI BHAVNA MAN MAI
MAAN NA HO AB JEEVAN MAI
KSHAMA KA BHAV RAKH MAN MAI
KSHAMA HO JEEV SAB JAG MAI

MANGTA HU KSHAMA MAN SE
KI DOSHI HU MAI IS JAG KA
KIYE KARMO KE KARAN HI
BHATAKTA RAHI DAG DAG KA
KAYI APRADH KIYE MAINE
JAANE AUR ANJANE MAI
DUKHAYE DIL KAYI MAINE
BAS APNA KAAM BANANE MAI

SABSE KSHAMA SABKO KSHAMA
YAHI SANDESH JAN JAN MAI
KSHAMA KA BHAV RAKH MAN MAI
KSHAMA HO JEEV SAB JAG MAI

Kshama Bhav


KSHAMA KA BHAV RAKH MAN MAI
KSHAMA HO JEEV SA JAG MAI
LE KARUNA SARE JEEVO KI
NA MAN MAI DWESH KINCHIT BHI
YAHI HAI BHAVNA MAN MAI
MAAN NA HO AB JEEVAN MAI

KSHAMA KA BHAV RAKH MAN MAI
KSHAMA HO JEEV SA JAG MAI

MANGTA HU KSHAMA MAN SE
KI DOSHI HU MAI IS JAG KA
KIYE KARMO KE KARAN HI
BHATAKTA RAHI DAG DAG KA
KAYI APRADH KIYE MAINE
JAANE AUR ANJANE MAI
DUKHAYE DIL KAYI MAINE
BAS APNA KAAM BANANE MAI
sABSE KSHAMA SABKO KSHAMA
YAHI SANDESH JAN JAN MAI

KSHAMA KA BHAV RAKH MAN MAI
KSHAMA HO JEEV SA JAG MAI