Friday, 11 June 2010

YE TERI MUSKAAN......

Ye teri muskan bhi, kya gazab ada dhaati hai,
Bina kisi maksat ke, dil ko dastak de jati hai,
Na  kahti  hai ye kuch, na hi kuch batlati hai,
Dekhu jab bhi mai isko, ye to sharma jati hai,
Ye teri muskan b.....

Apne  kale  balo  ko ,  jab  tu  aise  lahrati   hai,
Samajh nahi aata kuch b, dhadkan meri bad jati hai,
Udte  hai  jab  ye  aise to, kali ghata chha jati hai,
Dheere dheere haule haule, dil ko mere tadpati hai,
Apne kale balo ko...

Aankhe  teri  jheel  si,  shabnam  ye  chhalkati hai,
Bina kahe humse kuch b, sab kuch ye kah jati hai,
Jab b dekhu mai isko, to khud mai mujhe dubati hai,
Suljhata   hu   jitna  isko,  utna  ye   uljhati   hai,
Aankhe teri...

Sari bate bhul gaya mai, bas yaho samajh mai aati hai,
Kuch aur nahi bhaata ab to, bas tuhi mujhko baati hai,
Ye  teri  muskan  bhi,  kya  gazab  adaa  dhati hai,
Bina  kisi  maksad  k, dil  ko  dastak  de  jati  hai..

No comments: