Friday, 23 December 2011

KISI NE KAHA THA HAMSE....

Kisi ne kaha tha hamse, tum aise hi rahna
Bas isiliye hi, unse abhi tak pyar karte hai
Kaha tha humse, ek roz zarur milenge hum
Bas isliye hi, unka ab tak itnzaar karte hai

Suna hai, ki pyar bhagwan jaisa hota hai
Bas isilye, puri siddat se pukar karte hai
Shayad, sapna humara haqeekat ban jaye
Basi isiliye, koshis hum bar bar karte hai

Unke chehre par mayushi na ho kabhi
Bas isiliye, khud ko hi lachar karte hai
Palke ko uthake, ek bar to dekhe hame
Ki unpar apni jaan, nauchhar karte hai

kisi ne kaha tha hamse....

Sunday, 18 December 2011

SACH KI KADWAHAT KO HUMNE PI LIYA HAI

Jo  gum  k  aasu  humne  bahaye  hai
Unse  ab  hum  door  nikal  aaye   hai
Koshis ki hai khud ko khush rakhne ki
Har khushi aur gum mai muskurane ki
Har mod se ek pal chura ke  laye  hai
Jaise patjhad mai bhi fool khilaye hai
Jo gum  k  aasu  humne  bahaye  hai
Unse  ab  hum  door  nikal  aaye  hai

Sach ki kadwahat ko humne pi liya hai
Ye  kahta  hai  ki  jeena seekh liya hai
Jo pal pal hum ghut ghut ka jeete the
Sach bhula kar khudse jhoot kahte the
Zindgi ne to bas hume ghav hi diya hai
Un  sare  ghav ko humne ab si liya hai
Sach  ki  kadwahat ki humne pi liya hai
Ye kahta hai ki  jeena  seekh  liya  hai

Monday, 28 November 2011

Ye dil nanda hai, na jagta hai na sota hai


Hamre dil ko ek ajeeb sa ehsas hota hai
Jaise koi bhoola bisra aas pas hota hai
Har pal yad unki kuch mahsus karati hai
Ye dil nanda hai, na jagta hai na sota hai

Hamari soch hi nahi hai ki mohbbat kare
Fir kyu adhure pan ka ehsas hota hai
Jab tak sath the hame samajh hi na aya
Ki pyar ka to naam bhi khash hota hai

Har lafj mai hamare, unka hi nam hota hai
khwab mai hamre, unka hi satha hota hai
Dua hai rab se ki sapne sach ho jaye, kyu ki..
Ye dil nanda hai, na jagta hai na sota hai.

Hamre dil ko ek ajeeb sa ehsas hota hai
Jaise koi bhoola bisra aas pas hota hai
Har pal yad unki kuch mahsus karati hai
Ye dil nanda hai, na jagta hai na sota hai

Hamari soch hi nahi hai ki mohbbat kare
Fir kyu adhure pan ka ehsas hota hai
Jab tak sath the hame samajh hi na aya
Ki pyar ka to naam bhi khash hota hai

Har lafj mai hamare, unka hi nam hota hai
khwab mai hamre, unka hi satha hota hai
Dua hai rab se ki sapne sach ho jaye, kyu ki..
Ye dil nanda hai, na jagta hai na sota hai.

Sunday, 13 November 2011

Nayi Chahat K Sath


Nayi chahat k sath hi naye savera hota hai
khili daliyo par chidiyo ka basera hota hai
Khud k dukh se dukhi nahi hai insan yaha
Dusro ki khushi se hi bada bakhera hota hai
Thokar khakar aksar log chalna bhool jate hai
Gir kar chalne wala hi asli vijeta hota hai
Jane kyu pyar ke liye log tadpte hai yaha
Jabki Maa-Baap k pyar ka putera hota hai
Roti nahi aankhe kabhi unhe bhulane mai
Aur mehbub ko bhulane mai unka dil rota hai

Man mai jo apne auro ke liye
Sahanubhuti prgtate  hai
Maa-Baap k pairo ki Khatir
jo apne hath bichate hai
Papo ka un par bojh nahi
Ve swarg gati ko jate hai

Nayi chahat k sath hi naye savera hota hai
khili daliyo par chidiyo ka basera hota hai
Khud k dukh se dukhi nahi hai insan yaha
Dusro ki khushi se hi bada bakhera hota hai
Thokar khakar aksar log chalna bhool jate hai
Gir kar chalne wala hi asli vijeta hota hai
Jane kyu pyar ke liye log tadpte hai yaha
Jabki Maa-Baap k pyar ka putera hota hai
Roti nahi aankhe kabhi unhe bhulane mai
Aur mehbub ko bhulane mai unka dil rota hai

Man mai jo apne auro ke liye
Sahanubhuti prgtate  hai
Maa-Baap k pairo ki Khatir
jo apne hath bichate hai
Papo ka un par bojh nahi
Ve swarg gati ko jate hai

Sunday, 11 September 2011

Kshama Bhav


KSHAMA KA BHAV RAKH MAN MAI
KSHAMA HO JEEV SAB JAG MAI
LE KARUNA SARE JEEVO KI
NA MAN MAI DWESH KINCHIT BHI
YAHI HAI BHAVNA MAN MAI
MAAN NA HO AB JEEVAN MAI
KSHAMA KA BHAV RAKH MAN MAI
KSHAMA HO JEEV SAB JAG MAI

MANGTA HU KSHAMA MAN SE
KI DOSHI HU MAI IS JAG KA
KIYE KARMO KE KARAN HI
BHATAKTA RAHI DAG DAG KA
KAYI APRADH KIYE MAINE
JAANE AUR ANJANE MAI
DUKHAYE DIL KAYI MAINE
BAS APNA KAAM BANANE MAI

SABSE KSHAMA SABKO KSHAMA
YAHI SANDESH JAN JAN MAI
KSHAMA KA BHAV RAKH MAN MAI
KSHAMA HO JEEV SAB JAG MAI

Kshama Bhav


KSHAMA KA BHAV RAKH MAN MAI
KSHAMA HO JEEV SA JAG MAI
LE KARUNA SARE JEEVO KI
NA MAN MAI DWESH KINCHIT BHI
YAHI HAI BHAVNA MAN MAI
MAAN NA HO AB JEEVAN MAI

KSHAMA KA BHAV RAKH MAN MAI
KSHAMA HO JEEV SA JAG MAI

MANGTA HU KSHAMA MAN SE
KI DOSHI HU MAI IS JAG KA
KIYE KARMO KE KARAN HI
BHATAKTA RAHI DAG DAG KA
KAYI APRADH KIYE MAINE
JAANE AUR ANJANE MAI
DUKHAYE DIL KAYI MAINE
BAS APNA KAAM BANANE MAI
sABSE KSHAMA SABKO KSHAMA
YAHI SANDESH JAN JAN MAI

KSHAMA KA BHAV RAKH MAN MAI
KSHAMA HO JEEV SA JAG MAI

Monday, 23 May 2011

Jab b haqeekat ko hum gale lagate hai....


Jab b haqeekat ko hum gale lagate hai
Tab tab tumko hi hum sath mai pate hai
Jab samne tum hame nazar aate nahi
Tab beete lamho se tumhe churate hai...

Waise to har pal hum muskurate hai
Bhool kar bhi apne aasu nahi bahate hai
Yad jab teri dheere se dil ko chhoo jati hai
To khud wa khud hi hum poore ho jate hai...

Jab b haqeekat ko hum gale lagate hai....

Wednesday, 27 April 2011

FURSAT TO HAME BHI NAHI..


Fursat to hame bhi nahi hai, khud ko aajmane ki
Ham to aash lagaye baithe hai, unke laut ane ki,
Unhe lagta hai ki wo jo sochte hai wahi sach hai,
Lekin wo to koshis mai hai haqeekat chupane ki...

Har bar hamne dil ko tasalliya dekar samjhya hai,
Kal to wo yad karnge hi, jinhe aaj yad na aaya hai,
kayi koshis ki upar wale ne meri kismat banane ki,
Par aisa laga jaise ise to nazar lag gayi zamane ki..

Fursat to hame bhi nahi hai, khud ko aajamane ki...

Thursday, 27 January 2011

HUME SIRF UNKI HI AASH HAI...

Ek hum hai jsie  har  pal  unki hi aash hai,
Ek wo hai jinhe sachhe pyar ki talash hai,
Kyu bhatakte hai wo duniya ki bheed mai,
Kyu  Fikar  nahi  uski jo unke aas pas hai,
Ek hum hai....

Rat  ki  paheli  hum  suljha  nahi  pate hai,
Wo kahte hai ki hum samajh nahi pate hai,
Dil mai base hai wo ye kahti har saans hai,
Ki unke bina to hum bas ek jinda laash hai,
Ek hum hai....

Samjhaya  bahut  khud  ko ki na kar nadani,
Ki  pyar  mai  hi aksar ho jati  hai beyimaani,
Mehboob ki aankho mai doobna hi raas hai,
Is  dil  ne  bhi  mana  ki  wo  itne  khash  hai,


Ek hum hai jsie  har  pal  unki hi aash hai,
Ek wo hai jinhe sachhe pyar ki talash hai....

DARD SE HI PYAR KI SHURUVAT HOTI HAI....

Dard se hi pyar ki shuruvat hoti hai,
Ki dard pe hi khatm har bat hoti hai,
Dard hi dard to hota hai is pyar mai,
Fir kyu aise pyar ki shuruvat hoti hai,
Dard se hi.....

Ye khel  ek  ajeeb  jo  usne bana  diya,
Rone wale rote rahe haste ko rula diya,
Raat  mai  to hua nahi ujala kabhi yaha,
Par  pyar  se  hi  din mai bhi rat hoti hai,
Dard se hi.....

Marzi  khuda  ki  bhi  isme jarur hogi,
Karmo  ke  falo  ki koi nayi saja hogi,
Usne bhi kabhi kisi se pyar kiya hoga,
Tabhi  to  is  pyar  ki shuruvat hoti hai,


Dard se hi pyar ki shuruvat hoti hai,
Ki dard pe hi khatm har bat hoti hai.....